phuul kā paiġhām le jaa.e koī maalī ke naam
us sarāpā fasl-e-gul gulzār ke vaalī kā naam
maiñ bahādur-shah-e-'zafar' aur dard kā rañgūn hai
kyā likhūñ 'ġhālib' ke naam aur kyā likhūñ 'hālī' ke naam
sabza-e-begāna ho yā lāla-o-gul kī qabā
vaqf hai merā lahū gulshan kī hariyālī ke naam
likh rahā huuñ apne hāthoñ kī ḳharāshoñ kā salām
yaar ke dast-e-hinā.ī kī hasīñ laalī ke naam
ai nadīm-e-māh-o-anjum aa koī paiġhām de
pastiyoñ meñ Dagmagātī be-par-o-bālī ke naam
asl meñ sail-e-ḳhizāñ laatā hai paiġhām-e-bahār
har shagūfa har kalī har paat har Daalī ke naam
terā dīvāna 'hazīñ' mansūb kartā hai ba-shauq
ye ġhazal ai ishq terī fitrat-e-ālī ke naam