Hazin Ludhianvi

phir faza dhundla gai aasar hain tufan ke

Hazin Ludhianvi

phir fazā dhundlā ga.ī āsār haiñ tūfān ke
kāñpte haiñ phuul kamre meñ mire gul-dān ke
chal rahe haiñ dil meñ naḳhlistān kā armāñ liye
ham musāfir zindagī ke tapte registān ke
sail-e-ġham rakhtā hai yuuñ mere irādoñ ko javāñ
jis tarah sailāb meñ phalte haiñ paude dhaan ke
toḌ degā ik na ik din ye tilism auhām kā
saaf dete haiñ pata tevar na.e insān ke
dosto jis dam utar jaatā hai gandum kā ḳhumār
zehn kī shāḳhoñ se uḌ jaate haiñ panchhī dhyān ke
Top Urdushayar.com