is kā nahīñ hai ġham koī jaañ se agar guzar ga.e
dikh kī añdherī qabar par ham bhī charāġh dhar ga.e
shān-o-shikoh kyā hue qaisar-o-jam kidhar ga.e
taḳht ulaT ulaT ga.e taaj bikhar bikhar ga.e
fikr-e-ma.āsh ne sabhī jazboñ ko sard kar diyā
saḌkoñ pe din guzar gayā ho ke niDhāl ghar ga.e
tundī-e-sail-e-vaqt meñ ye bhī hai koī zindagī
sub.h hui to jī uThe raat hui to mar ga.e
gard-e-safar meñ kho ga.e aise hazāroñ rāh-rau
raah meñ jo Thahar ga.e āñdhiyoñ se jo Dar ga.e
aap kā to maqām thā dil ke buland taḳht par
aap ko aaj kyā huā dil se mire utar ga.e
khil ke raheñge dekhnā chaar sū raushnī ke phuul
raat ke dasht kī taraf naqsh-gar-e-sahar ga.e
ḳhaak meñ terī mil ga.ī 'faiz' ke jism kī ziyā
ab to dayār-e-mahvashāñ! qarz tamām utar ga.e