kyā gul khilā.e dekhiye taptī huī havā
masmūm ho ga.ī hai mahaktī huī havā
ye chīthaḌoñ meñ phuul ye sargarm-e-kār log
ye dopahar kī dhuup ye jaltī huī havā
zinda vahī rahegā jise ho shu.ūr-e-zīst
kahtī hai roz rañg badaltī huī havā
bādal ghire to aur bhī shoa.la-fishāñ huī
phūloñ kī pattiyoñ ko jhulastī huī havā
tūfān-e-gard-o-bād se sañvlā na jaa.eñ log
phir ruk ga.ī hai shahr meñ chaltī huī havā
kumhlā na jaa.e gulshan-e-shām-o-sahar 'hazīñ'
muddat se chal rahī hai sulagtī huī havā