Hazin Ludhianvi

dard ke sip mein paida hui bedari si

Hazin Ludhianvi

dard ke siip meñ paidā huī bedārī sī
raat kī raakh meñ sulgī koī chiñgārī sī
dekhiye shahr meñ kab bād-e-yaqīñ chaltī hai
kū-ba-kū phailī hai auhām kī bīmārī sī
maut kā vaar to meñ sah gayā hañste hañste
zindagī tū hī koī choT lagā kaarī sī
kyā se kyā ho ga.ī māhaul kī lau meñ jal kar
vo jo laḌkī nazar aatī thī bahut pyārī sī
jitne muflis haiñ vo ek roz tavañgar hoñge
ek afvāh sunī hai magar aḳhbārī sī
Top Urdushayar.com