utarne vaalī dukhoñ kī barāt se pahle
charāġh baañT do bastī meñ raat se pahle
yūñhī milegā na āb-e-hayāt kā chashma
guzarnā hogā lahū kī furāt se pahle
bashar jo aaj hai tahzīb-o-irtiqā kā amiiñ
faqat darinda thā irfān-e-zāt se pahle
hamī ne maut kī tardīd meñ zabāñ kholī
hamīñ ne pyaar kiyā hai hayāt se pahle
vahāñ to baat bhī karnā jihād karnā hai
jahāñ pe hoñT siye jaa.eñ baat se pahle
na.ī hayāt 'hazīñ' fan ko de gayā 'ġhālib'
agarche mar gayā thā vo vafāt se pahle