apne vahm-o-gumān se niklā
maiñ añdhere makān se niklā
be-ruḳhī dekh ab zamāne kī
mudda.ā kyuuñ zabān se niklā
samt kā ġham na thā safīne ko
ye alam bādbān se niklā
dhuup barsā rahī thiiñ talvāreñ
phir bhī maiñ sā.ebān se niklā
vaqt mohlat na degā phir tum ko
tiir jis dam kamān se niklā
aa gayā lījiye sāhil-e-hastī
maiñ baḌe imtihān se niklā
zindagī kā nayā mizāj 'niyāz'
dard ke ḳhāndān se niklā