intishār-o-ḳhauf har ik sar meñ hai
āfiyat se kaun apne ghar meñ hai
zindagī par sab haqīqat khul chukī
tū abhī tak ḳhvāb ke paikar meñ hai
mutma.in insāñ kahīñ par bhī nahīñ
ek sī hālat zamāne bhar meñ hai
raat kī chaTTān se sub.heñ tarāsh
ḳhvāb kī ta.abīr isī patthar meñ hai
jhuuT kī ban aa.ī hai chāroñ taraf
sach agar hai bhī to pas-manzar meñ hai
barf ehsāsāt kī pighlā sake
vo sharar maazī kī ḳhākistar meñ hai
TuuT jaane tak uḌeñge ham 'niyāz'
hausla itnā to bāl-o-par meñ hai