ġham-e-hayāt ġham-e-dil nishāt-e-jāñ guzrā
tumhāre saath har ik lamha shādmāñ guzrā
taḌap ke dard se fariyād ko jo lab khole
sitam shi.ār zamāne pe ye garāñ guzrā
badal de ruḳh jo mirī zindagī ke dhāroñ kā
vo hādisa mire dil par abhī kahāñ guzrā
javāb-e-tūr-o-tajalli kaheñge ahl-e-nazar
jo dil kī raah se vo husn-e-mehrbāñ guzrā
basā ke dil meñ tire ġham tire sitam ai dost
jahāñ jahāñ se bhī guzrā maiñ naġhma-ḳhvāñ guzrā