Abdul Mateen Niyaz

daman ki fikr hai na gareban ki fikr hai

Abdul Mateen Niyaz

Barabanki, Uttar pradesh, India

1929
dāman kī fikr hai na garebāñ kī fikr hai
ahl-e-vatan ko fitna-e-daurāñ kī fikr hai
gulshan kī fikr hai na bayābāñ kī fikr hai
ahl-e-junūñ ko fasl-e-bahārāñ kī fikr hai
logoñ ko apnī fikr hai lekin mujhe nadīm
bazm-e-hayāt-o-nazm-e-gulistāñ kī fikr hai
ham maqtal-e-hayāt meñ haiñ sar-ba-kaf magar
ahl-e-havas ko apne dil-o-jāñ kī fikr hai
sāhil se duur rah ke hai manzil kī justujū
maujoñ kī fikr ham ko na tūfāñ kī fikr hai
ham ko nahīñ hai fikr kisī baat kī 'niyāz'
tārīkiyoñ meñ sham-e-farozāñ kī fikr hai
Top Urdushayar.com