hijr meñ guzrī hai us raat kī bāteñ na karo
aap tajdīd-e-mulāqāt kī bāteñ na karo
dil ne har daur meñ duniyā se baġhāvat kī hai
dil se tum rasm-o-rivāyāt kī bāteñ na karo
himmateñ qāfile vāloñ kī na hoñ past kahīñ
rahrav-e-gardish-e-hālāt kī bāteñ na karo
chāhiye josh-e-talab mere shikasta-dil ko
aise hālāt meñ sadmāt kī bāteñ na karo
zindagī aur bhī tashrīh-talab hai yaaro
ġham ke tapte hue lamhāt kī bāteñ na karo
kitne hī zaḳhm hare haiñ mire siine meñ 'niyāz'
aap ab mujh se ināyāt kī bāteñ na karo