Abdul Mateen Niyaz

ham-nafas KHwab-e-junun ki koi tabir na dekh

Abdul Mateen Niyaz

Barabanki, Uttar pradesh, India

1929
ham-nafas ḳhvāb-e-junūñ kī koī ta.abīr na dekh
raqs karnā hai to phir paañv kī zanjīr na dekh
tū kisī husn-e-jahāñ-soz kī tasvīr na dekh
apne guzre hue hālāt kī tafsīr na dekh
husn-e-tadbīr se taqdīr badal de apnī
jo hai hālāt se mansūb vo taqdīr na dekh
tū parastār-e-amal hai to amal kī ḳhātir
ḳhvāb-e-rañgīñ kī qasam ḳhvāb kī ta.abīr na dekh
razm-e-hastī se guzarnā hai agar tujh ko 'niyāz'
zulmat-e-shab ko samajh sub.h kī tanvīr na dekh
Top Urdushayar.com