chand lamhoñ ke liye anjuman-ārā.ī thī
phir vahī maiñ thā vahī raat kī tanhā.ī thī
chaḌhte sūraj kī tavajjoh rahī saarī us paar
raushnī kī to udhar sirf jhalak aa.ī thī
apne dil meñ bhī thī ta.amīr-e-makāñ kī hasrat
apnī qismat meñ magar bādiya-paimā.ī thī
apne hī bojh se har Dūbne vaalā Duubā
varna tūfān se kashtī to nikal aa.ī thī
chal diye bas yūñhī ik saa.e ke pīchhe
na ta.āruf hī thā us se na shanāsā.ī thī
kaun is dasht meñ kahtā mujhe 'mohsin' labbaik
apnī hī ḳhāk-e-navā guuñj ke lauT aa.ī thī