Mohsin Zaidi

koi diwar na dar jaante hain

Mohsin Zaidi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1935-2003
koī dīvār na dar jānte haiñ
ham isī dasht ko ghar jānte haiñ
jaan kar chup haiñ vagarna ham bhī
baat karne kā hunar jānte haiñ
ye muhim hadiya-e-sar māñgtī hai
is meñ hai jaañ kā ḳhatar jānte haiñ
lad ga.ī shāḳh-e-lahū phūloñ se
ā.eñge ab ke samar jānte haiñ
jaan jaanī hai to jā.egī zarūr
ham duāoñ kā asar jānte haiñ
kaun hai tāba-e-mohmal kis kā
kis kā hai kis pe asar jānte haiñ
log use maslahatan kuchh na kaheñ
us kī auqāt magar jānte haiñ
raat kis kis ke uḌe haiñ purze
shahr meñ kyā hai ḳhabar jānte haiñ
raat kaaTe nahīñ kaTtī hai magar
raat hai tā-ba-sahar jānte haiñ
ham ne bhī dekhī hai duniyā 'mohsin'
hai kidhar kis kī nazar jānte haiñ
Top Urdushayar.com