raste meñ koī aa ke ināñ-gīr ho na jaa.e
ye jazba-e-junūñ mirā zanjīr ho na jaa.e
us ko jo ab kisī se shikāyat nahīñ rahī
phir kyuuñ vo sab se mil ke baġhal-gīr ho na jaa.e
maiñ ne zabān dī hai to lab vā karūñgā kyā
lekin zabān-e-ḳhalq se tash.hīr ho na jaa.e
manzar ye hashr-ḳhez jo pesh-e-nigāh hai
Dartā huuñ mere ḳhvāb kī tābīr ho na jaa.e
āñkhoñ meñ bas ga.ī hai vo tasvīr is tarah
merī nigāh-e-shauq bhī tasvīr ho na jaa.e
'mohsin' na jaane sub.h numūdār hogī kab
ye shām-e-be-charāġh hī taqdīr ho na jaa.e