Mohsin Zaidi

bagh sara to bayaban na hua tha so hua

Mohsin Zaidi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1935-2003
baaġh saarā to bayābāñ na huā thā so huā
jo ḳhizāñ kā kabhī ehsāñ na huā thā so huā
ham to bedār hue ḳhvāb se apne lekin
vo bhī ḳhvāboñ meñ pareshāñ na huā thā so huā
ham bhī kuchh soch ke kar baiThe bil-āḳhir shikva
vo bhī pahle to pashemāñ na huā thā so huā
mish.aleñ sar kī sajā.ī ga.iiñ tasht-e-zar meñ
kab se maqtal meñ charāġhāñ na huā thā so huā
safar-e-jāñ kī huī ab kahīñ jā kar takmīl
ya.anī maiñ be-sar-o-sāmāñ na huā thā so huā
dekhte dekhte aa pahuñchā saroñ tak paanī
ab tak andāza-e-tūfāñ na huā thā so huā
dosto maiñ jo ta.alluq thā vo baaqī na rahā
dushmanoñ meñ koī paimāñ na huā thā so huā
aur kyā mujh ko sila miltā ḳhulūs-e-dil kā
hadaf-e-tohmat-e-yārāñ na huā thā so huā
dasht meñ abr to barsā vo do ik buuñd sahī
pahle itnā bhī to imkāñ na huā thā so huā
'mohsin' achchhā hī huā us ne ulaT dī jo naqāb
rañg us kā jo numāyāñ na huā thā so huā
Top Urdushayar.com