ye jaur ahl-e-azā par mazīd karte rahe
sitam-shi.ār moharram meñ iid karte rahe
hamāre dam se rahā daur-e-bāda-paimā.ī
ki apne ḳhuun se ham mai kashīd karte rahe
gila to ye hai ki jitne amīr-e-shahr hue
ġharīb-e-shahr ko sab nā-ummīd karte rahe
kiyā hai ham ne hamesha hī kārobār-e-ziyāñ
ki sastā bech ke mahñgā ḳharīd karte rahe
kisī se shahr-e-ḳhamoshāñ meñ kahte sunte kyā
ham apne aap se guft-o-shunīd karte rahe
vo zer-e-ḳhanjar-e-qātil na thā gulū koī
vo ik ḳhayāl thā jis ko shahīd karte rahe
mirā kalām to kyā nāqdīn-e-fan 'mohsin'
kalām-e-haq meñ bhī qatā-o-burīd karte rahe