jaanā hai usī samt ki chāra nahīñ koī
jis samt ko rasta bhī nikaltā nahīñ koī
bas dil kā hai saudā koī baazī nahīñ sar kī
thoḌā sā hai nuqsān ziyāda nahīñ koī
mañjdhār meñ kashtī kā badalnā nahīñ manzūr
aisī mujhe sāhil kī tamannā nahīñ koī
har shaḳhs yahāñ gumbad-e-be-dar kī tarah hai
āvāz pe āvāz do suntā nahīñ koī
ham sīna-sipar aa ga.e maidān-e-viġhā meñ
ab kyuuñ saf-e-ādā se nikaltā nahīñ koī
maanā ki burā hai jo kam-āmez huuñ itnā
ye terā taġhāful bhī to achchhā nahīñ koī
vo shobada-gar hī na rahā khel huā ḳhatm
hone ko bas ab aur tamāshā nahīñ koī
ik naqd-e-hunar hai ki nahīñ jis kī koī qadr
paas is ke sivā aur asāsa nahīñ koī
pāmāli-e-gulshan kī ye tasvīr hai 'mohsin'
shādābi-e-gulshan kā ye naqsha nahīñ koī