bas-ki dushvār hai us shaḳhs kā chehrā likhnā
varna mushkil to nahīñ koī sarāpā likhnā
ye bhī mumkin hai ki tahrīr badal dī jaa.e
dosto apnā bayāñ ḳhuun se puḳhta likhnā
kuchh hameñ sair-o-tamāshā se nahīñ dilchaspī
shaġhl bas apnā hai tanhā.ī meñ paḌhnā likhnā
dil kā darvāza tumhāre liye vā rakkheñge
lauT aane kā kabhī ho jo irāda likhnā
bhej to sakte ho tum likh ke shikāyat un ko
shart bas ye hai ki koī lafz na chubhtā likhnā
log asnād ke kashkol liye phirte haiñ
kitnā be-sūd hai is daur meñ paḌhnā likhnā
kaise dīvāne haiñ likhte hue thakte hī nahīñ
ek hī lafz ko sīdhā kabhī ulTā likhnā
pās-e-tahzīb to kuchh pās-e-qalam hai ham ko
varna aatā hai hameñ jaise ko taisā likhnā
log jab likh ke siyah kar ga.e dīvāreñ tak
kaun paḌhtā hai bhalā ret pe merā likhnā
sar meñ saudā thā ajab likh gayā us ko kyā kuchh
dil ne samjhāyā bahut thā ki na aisā likhnā
yaad kyā rakhtā ki vo zūd-farāmosh bhī thā
maiñ bhī kuchh bhuul gayā us ko taqāzā likhnā
likhte hī jā.eñge ham un ko arīze 'mohsin'
vo paḌheñ yā na paḌheñ kaam hai apnā likhnā