Mohsin Zaidi

ye suKHan jo meri zaban pe hai ye suKHan hai us ka kaha hua

Mohsin Zaidi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1935-2003
ye suḳhan jo merī zabāñ pe hai ye suḳhan hai us kā kahā huā
ye bayāñ jo hai mire naam se ye bayāñ hai us kā likhā huā
vahī mailī mailī sī chāñdnī vahī dhundlī dhundlī sī raushnī
ye charāġh koī charāġh hai na jalā huā na bujhā huā
vahī ek yaad kiran kiran mirī zindagī meñ hai zau-fagan
vahī ek chehra chaman chaman sar-e-dasht-e-jāñ hai khilā huā
sar-e-rāh kuchh na patā chalā vo kahāñ gayā vo kidhar gayā
kahīñ naqsh-e-pā thā banā huā kahīñ naqsh-e-pā thā miTā huā
karūñ dostoñ ko maiñ nazr kyā mire paas dām-o-diram kahāñ
vo jo dushmanoñ kā hisāb thā vo to naqd-e-jāñ se adā huā
na kisī kī yaad kā naqsh hai na kisī ke ruḳh kā ye aks hai
ye na koī harf na lafz hai sar-e-ḳhāk kyā hai likhā huā
mujhe 'mohsin' is kā gila nahīñ mujhe māl-o-zar jo milā nahīñ
jo hunar suḳhan kā mujhe milā vo kahāñ sabhī ko atā huā
Top Urdushayar.com