Mohsin Zaidi

wo maut ka manzar jo tha din raat wahi hai

Mohsin Zaidi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1935-2003
vo maut kā manzar jo thā din raat vahī hai
muñh se na kaho sūrat-e-hālāt vahī hai
lafzoñ ke ulaT pher se badlegā na matlab
imdād jise kahte ho ḳhairāt vahī hai
gul karnā charāġhoñ kā to ik khel hai us kā
vāzeh hai pas-e-parda-e-zulmāt vahī hai
zanjīr meñ mausam kī haiñ jakḌe hue din raat
sardī vahī garmī vahī barsāt vahī hai
ham ne to isī tarah guzāre haiñ shab-o-roz
apne liye har din vahī har raat vahī hai
kuchh mere hī mānind hai tarz-e-suḳhan us kā
andāz-e-ishārāt-o-kināyāt vahī hai
donoñ hī taraf aag barābar kī hai 'mohsin'
donoñ hī taraf garmi-e-jazbāt vahī hai
Top Urdushayar.com