Mohsin Zaidi

agar chaman ka koi dar khula bhi mere liye

Mohsin Zaidi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1935-2003
agar chaman kā koī dar khulā bhī mere liye
sumūm ban ga.ī bād-e-sabā bhī mere liye
mirā suḳhan bhī huā us ke naam se mausūm
abas huā mirā apnā kahā bhī mere liye
yahī nahīñ ki vo raste se moḌ kaaT gayā
na chhoḌā us ne koī naqsh-e-pā bhī mere liye
ta.alluqāt kā rakhnā bhī toḌnā bhī muhāl
azāb-e-jāñ hai ye rasm-e-vafā bhī mere liye
mujhe tavīl safar kā milā thā hukm to phir
kuchh aur hotī kushāda fazā bhī mere liye
mire liye jo hai zanjīr merā auj-e-nazar
kamand hai mirī fikr-e-rasā bhī mere liye
davā hai mere liye jis kī ḳhāk-e-pā 'mohsin'
usī kā ism hai harf-e-duā bhī mere liye
Top Urdushayar.com