Mohsin Zaidi

dur tak sabza kahin hai aur na koi saeban

Mohsin Zaidi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1935-2003
duur tak sabza kahīñ hai aur na koī sā.ebāñ
zer-e-pā taptī zamīñ hai sar pe jaltā āsmāñ
jaise do mulkoñ ko ik sarhad alag kartī huī
vaqt ne ḳhat aisā khīñchā mere us ke darmiyāñ
ab ke sailāb-e-balā sab kuchh bahā kar le gayā
ab na ḳhvāboñ ke jazīre haiñ na dil kī kashtiyāñ
lutf un kā ab huā to hai magar kuchh is tarah
jaise sahrā se guzar jaa.e koī abr-e-ravāñ
munhasir hai aisī ik buniyād par us kā yaqīñ
jis tarah dosh-e-havā par koī tinkoñ kā makāñ
be-zabānoñ se ḳhamoshī kā gila kaisā ki jab
so ga.e lafzoñ kī chādar taan kar ahl-e-zabāñ
ye safar kaisā hai 'mohsin' jitnā baḌhte jā.iye
baḌhtī jaa.eñ utnī hī manzil-ba-manzil dūriyāñ
Top Urdushayar.com