Mohsin Zaidi

main ek harf maani ka ek daftar wo

Mohsin Zaidi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1935-2003
maiñ ek harf ma.ānī kā ek daftar vo
maiñ ek mauj-e-sarāb-e-junūñ samundar vo
tamām sābit-o-sayyār us ke halqa-ba-gosh
ye kā.enāt hai ik dā.era to mehvar vo
tamām mumlikateñ us ke hī qalam-rau maiñ
sab us ke zer-e-nagīñ bahr-o-bar kā dāvar vo
saroñ pe ahl-e-karam ke hai abr rahmat kā
sitam-garoñ ke liye qahr kā hai lashkar vo
kahīñ hai din kī tapish meñ shajar shajar saaya
kahīñ hai shab ke añdhere meñ māh-o-aḳhtar vo
koī madad ko na aa.egā aisī manzil hai
panāh jaañ ko milegī agar hai rahbar vo
phir us kī hamd-o-sanā kis tarah likhī jaa.e
hudūd-e-lafz-o-ma.ānī se jab hai bāhar vo
kitāb-e-dīn kī takmīl ho chukī 'mohsin'
zamīñ pe bhej chukā āḳhirī payambar vo
Top Urdushayar.com