dīvār ab kahīñ na koī dar dikhā.ī de
chāroñ taraf bas ek samundar dikhā.ī de
ghar par nazar karūñ to bayābān sā lage
aur dasht-e-be-kanār mujhe ghar dikhā.ī de
ḳhvāboñ ke darmiyān hai muddat se ek jañg
maidān-e-kār-zār na lashkar dikhā.ī de
ye kyā ki phir bhī jism hai apnā lahū-luhān
aatā huā kahīñ se na patthar dikhā.ī de
har shaam zindagī kā nayā ḳhvāb le ke aa.e
har sub.h apnī maut kā manzar dikhā.ī de
is tarah paḌh rahe haiñ vo tahrīr haath kī
hāthoñ meñ jaise merā muqaddar dikhā.ī de
tiir o kamān aap bhī 'mohsin' sambhāliye
jab dostī kī aaḌ meñ ḳhanjar dikhā.ī de