ḳhvāhish-e-taḳht-o-tāj aur hai kuchh
lekin apnā mizāj aur hai kuchh
kyā bharosā badalte mausam kā
rañg kal kuchh thā aaj aur hai kuchh
pāsdārī yahāñ nahīñ chaltī
is nagar kā rivāj aur hai kuchh
ḳhush na ho ham jo ho ga.e ḳhāmosh
sūrat-e-ehtijāj aur hai kuchh
kaam chaltā nahīñ hai marham se
zaḳhm-e-dil kā ilaaj aur hai kuchh
sochnā aur udaas ho jaanā
haal hī dil kā aaj aur hai kuchh
ik zamāna thā ham-mizāj the ham
ab to us kā mizāj aur hai kuchh
sher kahnā hai ek fan 'mohsin'
daftarī kām-kāj aur hai kuchh