umiid koī nahīñ aasrā bhī koī nahīñ
davā bhī koī nahīñ ab duā bhī koī nahīñ
kuchh itne ho ga.e bezār apne haal se log
ki apne haal pe ab sochtā bhī koī nahīñ
batā.e kaun vahāñ kyā guzar ga.ī kis par
ki is dayār se aayā gayā bhī koī nahīñ
hisār-e-jāñ ke vo us paar hī to rahtā hai
faqat hai shart-e-safar fāslā bhī koī nahīñ
guzar huā jo kabhī us se mil liye varna
savāl us se kujā mudda.ā bhī koī nahīñ
mire suḳhan ne mujhe rū-shanās sab se kiyā
vagarna chehre se pahchāntā bhī koī nahīñ
hamīñ ne ḳhud pe kiye band saare dar 'mohsin'
nikalnā chāheñ to ab rāstā bhī koī nahīñ