Mohsin Zaidi

dosh-e-hawa pe tinkon ka ye aashiyana kya

Mohsin Zaidi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1935-2003
dosh-e-havā pe tinkoñ kā ye āshiyāna kyā
jis ko ujaḌ hī jaanā hai vo ghar basānā kyā
ham ko chhupā rahe ho ye āḳhir hamīñ se kyuuñ
ham se milā rahe ho hameñ ġhā.ebāna kyā
ham kaun juzv-e-ḳhās kisī dāstāñ ke the
kaisā hamārā zikr hamārā fasāna kyā
āñkhoñ meñ ashk rok liye is ḳhayāl se
miTTī meñ motiyoñ kā luTā.eñ ḳhazāna kyā
vo bazm-e-dostāñ na vo ab kū-e-dilbarāñ
bāhar nikal ke ghar se kahīñ aanā jaanā kyā
maqsad ye kyā nahīñ hai ki dushman ko ho shikast
ye jañg ho rahī hai koī dostāna kyā
jab sab yahāñ ḳhamosh haiñ dīvār kī tarah
phir sunñā kyā kisī se kisī ko sunānā kyā
'mohsin' kahīñ bhī le ke hameñ āb-o-dāna jaa.e
apnā yahāñ pe Thaur koī kyā Thikānā kyā
Top Urdushayar.com