Mohsin Zaidi

is taraf se us taraf tak KHushk o tar pani mein hai

Mohsin Zaidi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1935-2003
is taraf se us taraf tak ḳhushk o tar paanī meñ hai
ab samundar se samundar tak nazar paanī meñ hai
merī āñkhoñ meñ idhar manzar hai apnī maut kā
aur koī Dūbne vaalā udhar paanī meñ hai
jaane kab mere samundar ko koī sāhil mile
kab se merā jism sargarm-e-safar paanī meñ hai
kashti-e-anfās zer-e-āb bhī hai shola-bār
tah-ba-tah jaise koī mauj-e-sharar paanī meñ hai
jal gayā hotā shuā-e-mehr se ye shahr bhī
ḳhairiyat guzrī ki ḳhvāboñ kā nagar paanī meñ hai
is bulandī se lagā.ūñ kis taraf ab maiñ chhalāñg
ek dar hai dasht meñ to ek dar paanī meñ hai
ho chuke haiñ kab ke chaknā-chūr ā.īne sabhī
ye to 'mohsin' apnā hī aks-e-nazar paanī meñ hai
Top Urdushayar.com