manzil-o-samt-e-safar se be-ḳhabar nā-āshnā
ham-safar mujh ko milā kaisā safar nā-āshnā
saare hī chehre sabhī dīvār-o-dar nā-āshnā
lag rahā hai mujh ko saarā hī nagar nā-āshnā
sham.a ik nā-mahram-e-asrār-e-shab hañgām-e-shām
ik sitāra āḳhir-e-shab aur sahar nā-āshnā
mauj-e-tez-o-tund se aThkheliyāñ kartī huī
apne barg-o-bār se shāḳh-e-shajar nā-āshnā
ye to duniyā hai badaltī rahtī hai us kī nazar
jis qadar ye āshnā hai us qadar nā-āshnā
us nigāh-e-nāz ko apnī taraf samjhā kiye
munkashif phir ye huā ham the nazar nā-āshnā
kyā jhukegā ab kisī ke dar pe 'mohsin' apnā sar
zindagī bhar to rahā sajde se sar nā-āshnā