Mohsin Zaidi

dikha rahi hai jahan dhup ab asar apna

Mohsin Zaidi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1935-2003
dikhā rahī hai jahāñ dhuup ab asar apnā
bikhertā thā vahīñ saaya ik shajar apnā
phaloñ kā ab ke bhī pahle se ho gayā saudā
daraḳht chhū na sakeñge koī samar apnā
bahut hī tez thā ḳhanjar havā ke hāthoñ meñ
bachā sakā koī taa.ir na bāl-o-par apnā
kabhī jo sāmne aayā to chhup gayā huuñ kabhī
ye ek khel rahā ḳhud se umr-bhar apnā
abhī to baaqī haiñ manzil kī Thokareñ kuchh aur
yahīñ pe ḳhatm nahīñ hai abhī safar apnā
ye kaun sham.a liye pesh pesh chaltā rahā
dikhā.ī bhī na diyā kaun thā ḳhizar apnā
nizām-e-jabr kī vo kar rahā hai phir tausī.a
baḌhā rahā hai vo phir halqa-e-asar apnā
koī nahīñ hai jo shamshīr chhīn le us se
chhupā.e phirtā hai har ek shaḳhs sar apnā
kisī pe khultā bhī kyā apnā karb-e-ġham 'mohsin'
na koī marsiyāñ-ḳhvāñ thā na nauhagar apnā
Top Urdushayar.com