ye haiñ jo āstīn meñ ḳhanjar kahāñ se aa.e
tum siikh kar ye ḳhū-e-sitamgar kahāñ se aa.e
jab thā muhāfizoñ kī nigahbāniyoñ meñ shahr
qātil fasīl-e-shahr ke andar kahāñ se aa.e
kyā phir mujhe ye andhe kueñ meñ girā.eñge
ban kar ye log mere barādar kahāñ se aa.e
ye dasht-e-be-shajar hī jo Thahrā to phir yahāñ
saaya kisī shajar kā mayassar kahāñ se aa.e
uslūb merā siikh liyā tum ne kis tarah
lahje meñ merā Dhab mire tevar kahāñ se aa.e
maazī ke ā.īnoñ pe jilā kaun kar gayā
pesh-e-nigāh phir vahī manzar kahāñ se aa.e
daur-e-ḳhizāñ meñ kaise palaT kar bahār aa.ī
pazh-murda shāḳh par ye gul-e-tar kahāñ se aa.e
'mohsin' is iḳhtisār pe qurbān jā.iye
kuuze meñ band ho ke samundar kahāñ se aa.e