gila nahīñ ki muḳhālif mirā zamāna huā
maiñ ḳhud hī chhoḌ ke kār-e-jahāñ ravāna huā
maiñ ab chalā ki mirā qāfila ravāna huā
kabhī phir ā.ūñgā vāpas jo āb-o-dāna huā
maiñ bil-mushāfa nahīñ jāntā kisī ko yahāñ
ki mujh se merā ta.āruf bhī ġhā.ebāna huā
havā-e-gul bhī na pairoñ kī ban sakī zanjīr
bahār meñ bhī na ab ke koī divāna huā
jo reg zer-e-qadam aa.ī ban ga.ī sabza
ġhubār sar pe jo aayā to shāmiyāna huā
kisī ko nok-e-sināñ bhī zamīr kī na chubhī
kisī ko ek ishāra hī tāziyāna huā
zamāna khiñch ke na kyuuñ us ke paas jā.egā
vo ālī-jāh huā sāhib-e-ḳhazāna huā
baras rahī hai mirī chashm-e-nam to barsoñ se
tahī na abr-e-guhar-bār kā ḳhazāna huā
nazar meñ sab kā ye manzar sameT lo 'mohsin'
sahar qarīb hai ab ḳhatm ye fasāna huā