bāb-e-rahmat pe duā girya-kunāñ ho jaise
gum-shuda beTe kī muztar koī maañ ho jaise
us kī mumtāz kī rūdād-e-mohabbat likh duuñ
aise kahtā hai koī shāh-jahāñ ho jaise
guftugū meñ vo halāvat vo amal meñ iḳhlās
us kī hastī pe farishte kā gumāñ ho jaise
us kī duzdīda-nigāhī ke haiñ sab hī ghāyal
koī sayyād liye tīr-o-kamāñ ho jaise
mujh ko urdu-e-muallā nahīñ aatī ab tak
tujh ko ye zo.am tire ghar kī zabāñ ho jaise
ham ko rakhtī hai nishāne pe siyāsat un kī
ghar jalāne pe ba-zid barq-e-tapāñ ho jaise
us ke aate hī sanam-ḳhānoñ ke but bol uThe
mashriqoñ meñ koī ejāz-e-bayāñ ho jaise
yuuñ tirī zulf kī ḳhushbū hai sar-e-shām uḌī
kashtī-e-fikr yam-e-fan meñ ravāñ ho jaise
tere ash.ār utar aate haiñ 'dā.em' dil meñ
haq-parastoñ ke liye saut-e-azāñ ho jaise