Mohsin Zaidi

kisi ke dosh na markab se istifada kiya

Mohsin Zaidi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1935-2003
kisī ke dosh na markab se istifāda kiyā
yahāñ talak kā safar ham ne pā-pyāda kiyā
jahāñ pe dekhe qadam apne kuchh bhaTakte hue
vahīñ Thahar ke farozāñ charāġh-e-bāda kiyā
libās badle nahīñ ham ne mausamoñ kī tarah
ki zeb-e-tan jo kiyā ek hī labāda kiyā
amīr-e-shahr sabhī the sharīk-e-mashq-e-sitam
kisī ne kam to kisī ne sitam ziyāda kiyā
har ek baar qadam but-kade meñ lauT aa.e
ḳhudā gavāh hai masjid kā jab irāda kiyā
bichhaḌne vāloñ meñ ham jis se āshnā kam the
na jaane dil ne use yaad kyuuñ ziyāda kiyā
koī akelā to maiñ sādgī-pasand na thā
pasand us ne bhī rañgoñ meñ rañg saada kiyā
bahut hī tañg thī 'mohsin' ye rahguzār-e-ġhazal
ham ahle-e-fikr-o-nazar ne ise kushāda kiyā
Top Urdushayar.com