Mohsin Zaidi

kya dekhte ho rah mein ruk kar yahan wahan

Mohsin Zaidi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1935-2003
kyā dekhte ho raah meñ ruk kar yahāñ vahāñ
hai qatl-o-ḳhūñ kā ek sā manzar yahāñ vahāñ
zer-e-nagīñ usī ke sabhī qarya-o-dayār
us ke hī sab haiñ ḳhema-o-lashkar yahāñ vahāñ
hai darmiyān-e-ḳhanjar-o-sar fāsle kā farq
varna saroñ pe hai vahī ḳhanjar yahāñ vahāñ
shīshe ke sab makāñ haiñ shikasta idhar udhar
bikhre paḌe haiñ shahr meñ patthar yahāñ vahāñ
mahfūz rah gayā na koī rāsta na moḌ
jaayā karo na ghar se nikal kar yahāñ vahāñ
lagtā hai ab ulaTne ko hai ye bisāt-e-shab
sargoshiyāñ yahī haiñ barābar yahāñ vahāñ
'mohsin' ajiib habs kā aalam hai aur maiñ
koī darīcha hai na koī dar yahāñ vahāñ
Top Urdushayar.com