Mohsin Zaidi

ek aas to hai koi sahaara nahin to kya

Mohsin Zaidi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1935-2003
ik aas to hai koī sahārā nahīñ to kyā
raste meñ kuchh shajar to haiñ saaya nahīñ to kyā
rahtā hai koī shaḳhs mire dil ke aas paas
maiñ ne use qarīb se dekhā nahīñ to kyā
tū hī batā ki chāheñ tujhe aur kis tarah
ye terī justujū ye tamannā nahīñ to kyā
ham duur duur rah ke bhī chalte rahe haiñ saath
ham ne qadam qadam se milāyā nahīñ to kyā
reg-e-ravāñ kī tarah haiñ saare ta.alluqāt
tum ne kisī kā saath nibhāyā nahīñ to kyā
vaise hameñ to pyaas meñ dariyā kī thī talāsh
ab ye sarāb hī sahī dariyā nahīñ to kyā
sochā bhī tum ne dasht chaman kaise ban gayā
mehnat kā ye araq ye pasīnā nahīñ to kyā
'mohsin' mirī nigāh ko achchhā lagā vahī
duniyā kī vo nazar meñ jo achchhā nahīñ to kyā
Top Urdushayar.com