Daem Gawwasi

chehre pe nur-e-subh siyah gesuon mein raat

Daem Gawwasi

chehre pe nūr-e-sub.h siyah gesuoñ meñ raat
utrī thī ik parī liye apne paroñ meñ raat
din to shikam kī aag bujhāne meñ jaa.e hai
shukr-e-ḳhudā ki kaTtī hai dānishvaroñ meñ raat
thī vaj.h-e-ḳhvāb kal yahī taskīn-e-qalb bhī
ham ko to ab Darāne lagī zalzaloñ meñ raat
har sāhab-e-kamāl hai fan ke uruuj par
qibla-numā rahī hai sabhī hādsoñ meñ raat
āñkhoñ meñ un kā husn thā sotā maiñ kis tarah
aa.ī thī garche ghar mire kitne dinoñ meñ raat
āvārgī kī chhāp vo aa.ī thī chhoḌne
sharminda ho ke lauT ga.ī dil-jaloñ meñ raat
kuchh der hāv-hū kā thā manzar shabāb par
din kī thakī thī so hī ga.ī mandiroñ meñ raat
ham the ki ġharq-e-jām rahe mai-kashoñ ke biich
ham ko talāsh kartī rahī ābidoñ meñ raat
jugnū chamak rahe the ujāle meñ ishq ke
'dā.em' qayām kartī kahāñ buz-diloñ meñ raat
Top Urdushayar.com