Sauda Mohammad Rafi

dil le ke hamara jo koi talib-e-jaan hai

Sauda Mohammad Rafi

Delhi, India

1713-1780
dil le ke hamārā jo koī tālib-e-jāñ hai
ham bhī ye samajhte haiñ ki jī hai to jahāñ hai
har ek ke dukh-dard kā ab zikr-o-bayāñ hai
mujh ko bhī ho ruḳhsat mire bhī muñh meñ zabāñ hai
is ishq ke hai tū hī sazā-vār ki har ek
dil de ke tire naam ko jūyā-e-nishāñ hai
jūinda-e-har-chīz hai yābinda jahāñ meñ
juz umr-e-guzishta ki vo DhūñDo to kahāñ hai
piirī jo tū jaave to javānī se ye kahnā
ḳhush rahiyo marī jaan tū jīdhar hai jahāñ hai
pahuñchā na koī murġh kabhū apne chaman tak
juz tā.ir-e-hasrat ki vo yaañ bāl-fishāñ hai
tujh se to kisū tarah mirā kuchh nahīñ chaltā
juz ḳhuun ki āñkhoñ se shab o roz ravāñ hai
saaqī tū nazar kījiyo Tuk sub.h-e-chaman ko
is piir ke jalve kā bhalā koī javāñ hai
'saudā' kā tire dasht meñ tiflāñ se hai ye haal
jīdhar vo khaḌā hove to juuñ sañg-e-nishāñ hai
Top Urdushayar.com