Sauda Mohammad Rafi

aaram phir kahan hai jo ho dil mein ja-e-hirs

Sauda Mohammad Rafi

Delhi, India

1713-1780
ārām phir kahāñ hai jo ho dil meñ jā-e-hirs
āsūda zer-e-ḳhāk nahīñ āshnā-e-hirs
mumkin nahīñ hai ye ki bhare kāsa-e-tama.a
din meñ karoḌ ghar jo phirā de gadā-e-hirs
insāñ na hoñ zalīl zamāne ke haath se
zillat kisī ko koī na deve sivā-e-hirs
kar muñh ko Tuk ba-sū-e-qanā.at ye harf maan
rahtī hai laakh tarah kī aafat qifā-e-hirs
nādāñ talāsh-e-turra-e-zar se to baaz aa
juuñ sham.a ye na ho ki tirā sar kaTā.e hirs
apne sivā kisī ko na paayā harīf haif
kī qat.a rozgār ne ham par qabā-e-hirs
'saudā' basar ho ḳhūbī se auqāt har tarah
par darmiyāñ na hove ba-shart-e-ki pā-e-hirs
Top Urdushayar.com