le dīda-e-tar jidhar ga.e ham
Dabre jo the ḳhushk bhar ga.e ham
tujh ishq meñ roz-e-ḳhush na dekhā
dukh bharte hī bharte mar ga.e ham
terā jo sitam hai us kī tū jaan
apnī thī sau ḳhuub kar ga.e ham
ye qit.a paḌhe thā soz-e-dil se
saudā ke jo raat ghar ga.e ham
juuñ sham.a laboñ par aa rahā jī
tan thā so gudāz kar ga.e ham
itnī bhī patañg pesh-qadmī!
gar shaam nahīñ sahar ga.e ham
hogī na kisī ko ye ḳhabar bhī
us majlis se kidhar ga.e ham