Sauda Mohammad Rafi

gar kijiye insaf to ki zor wafa main

Sauda Mohammad Rafi

Delhi, India

1713-1780
gar kījiye insāf to kī zor vafā maiñ
ḳhat aate hī sab chal ga.e ab aap haiñ yā maiñ
tum jin kī sanā karte ho kyā baat hai un kī
lekin Tuk idhar dekhiyo ai yaar bhalā maiñ
rakhtā hai kuchh aisī vo barahman bacha raftār
but ho gayā dhaj dekh ke jis kī ba-ḳhudā maiñ
yaaro na bañdhī us se kabhū shakl-e-mulāqāt
milne ko to us shoḳh ke tarsā hī kiyā maiñ
jab maiñ gayā us ke to use ghar meñ na paayā
aayā vo agar mere to dar ḳhud na rahā maiñ
kaifiyyat-e-chashm us kī mujhe yaad hai 'saudā'
sāġhar ko mire haath se liijo ki chalā maiñ
Top Urdushayar.com