maqdūr nahīñ us kī tajallī ke bayāñ kā
juuñ sham.a sarāpā ho agar sarf zabāñ kā
parde ko ta.ayyun ke dar-e-dil se uThā de
khultā hai abhī pal meñ tilismāt jahāñ kā
Tuk dekh sanam-ḳhāna-e-ishq aan ke ai shaiḳh
juuñ sham-e-haram rañg jhalaktā hai butāñ kā
is gulshan-e-hastī meñ ajab diid hai lekin
jab chashm khulī gul kī to mausam hai ḳhizāñ kā
dikhlā.iye le jā ke tujhe misr kā bāzār
lekin nahīñ ḳhvāhāñ koī vaañ jins-e-girāñ kā
hastī se adam tak nafas-e-chand kī hai raah
duniyā se guzarnā safar aisā hai kahāñ kā
'saudā' jo kabhū gosh se himmat ke sune to
mazmūn yahī hai jaras-e-dil kī fuġhāñ kā