Sauda Mohammad Rafi

barhaman but-kade ke shaiKH baitullah ke sadqe

Sauda Mohammad Rafi

Delhi, India

1713-1780
barhaman but-kade ke shaiḳh baitullāh ke sadqe
kaheñ haiñ jis ko 'saudā' vo dil-e-āgāh ke sadqe
jatā deñ jis jagah ham qadr apnī nā-tavānī kī
agar kohsār vaañ hove to jaave kaah ke sadqe
na de taklīf jalne kī kisū ke dil ko mere par
asar se duur rahtī haiñ maiñ apnī aah ke sadqe
ajā.ib shaġhl meñ the raat tum ai shaiḳh rahmat hai
maiñ us rīsh-e-buland aur dāman-e-kotāh ke sadqe
nahīñ be-vaj.h kūche se tire uThnā bagūle kā
hamārī ḳhaak bhī jaatī hai terī raah ke sadqe
kabhū vo shab bhī ai parvāna haq bāham dikhāvegā
tū bal bal sham.a par jaave maiñ huuñ us maah ke sadqe
dikhātī hai tujhe kis kis tarah 'saudā' kī nazroñ meñ
jo ho insāf to jaave tū us kī chaah ke sadqe
Top Urdushayar.com