ai diida ḳhānumāñ tū hamārā Dubo sakā
lekin ġhubār yaar ke dil se na dho sakā
tujh husn ne diyā na kabhū mufsidī ko chain
fitna na tere daur meñ phir niiñd so sakā
jo sham.a-tan huā shab-e-hijrāñ meñ sarf-e-ashk
par jis qadar maiñ chāhe thā utnā na ro sakā
'saudā' qimār-e-ishq meñ shīrīñ se kohkan
baazī agarche pā na sakā sar to kho sakā
kis muñh se phir tū aap ko kahtā hai ishq-bāz
ai rū-siyāh tujh se to ye bhī na ho sakā