Sauda Mohammad Rafi

mast-e-sahar o tauba-kunan sham ka hun main

Sauda Mohammad Rafi

Delhi, India

1713-1780
mast-e-sahar o tauba-kunāñ shaam kā huuñ maiñ
qaazī ke giraftār nit e.alām kā huuñ maiñ
banda kaho ḳhādim ko chākar kaho mujh ko
jo kuchh kaho so sāqī-e-gulfām kā huuñ maiñ
ḳhidmat meñ mujhe ishq kī hai dil se irādat
ne mo'taqid-e-kufr na islām kā huuñ maiñ
yak roz halāl us ko bhī maiñ kar ke na khāyā
naukar jo ḳharābāt meñ do jaam kā huuñ maiñ
ne fikr hai duniyā kī na diiñ kā mutalāshī
is hasti-e-mauhūm meñ kis kaam kā huuñ maiñ
yak-rañg huuñ aatī nahīñ ḳhush mujh ko do-rañgī
munkir suḳhan-o-sher meñ īhām kā huuñ maiñ
matlūb-e-duā haq meñ nahīñ apne kisū kī
tālib lab-e-mahbūb se dushnām kā huuñ maiñ
banda hai ḳhudā kā to yaqīñ kar ki butāñ kā
banda ye jahāñ be-zar-o-be-dām kā huuñ maiñ
hai shīsha-e-mai ainak-e-pīrī mujhe 'saudā'
nazzāra-kun ab sheb ke ayyām kā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com