Sauda Mohammad Rafi

har sang mein sharar hai tere zuhur ka

Sauda Mohammad Rafi

Delhi, India

1713-1780
har sañg meñ sharār hai tere zuhūr kā
muusā nahīñ ki sair karūñ koh-e-tūr kā
paḌhiye durūd husn-e-sabīh-o-malīh par
jalva har ek par hai mohammad ke nuur kā
toḌūñ ye aa.ina ki ham-āġhosh-e-aks hai
hove na muj ko paas jo tere huzūr kā
bekas koī mare to jale us pe dil mirā
goyā hai ye charāġh ġharībāñ kī gor kā
ham to qafas meñ aan ke ḳhāmosh ho rahe
ai ham-safīr fā.eda nāhaq ke shor kā
saaqī se kah ki hai shab-e-mahtāb jalva-gar
de basma-posh ho ke tū sāġhar bilor kā
'saudā' kabhī na māniyo vaa.iz kī guftugū
āvāz-e-duhul hai ḳhush-ā.ind duur kā
Top Urdushayar.com