Sauda Mohammad Rafi

daman saba na chhu sake jis shah-sawar ka

Sauda Mohammad Rafi

Delhi, India

1713-1780
dāman sabā na chhū sake jis shah-savār kā
pahuñche kab us ko haath hamāre ġhubār kā
mauj-e-nasīm aaj hai ālūda gard se
dil ḳhaak ho gayā hai kisī be-qarār kā
ḳhūn-e-jigar sharāb o tarashshah hai chashm-e-tar
sāġhar mirā giro nahīñ abr-e-bahār kā
chashm-e-karam se āshiq-e-vahshī asiir ho
ulfat hai dām-e-āhū-e-dil ke shikār kā
sauñpā thā kyā junūñ ne garebān ko mire
letā hai ab hisāb jo ye taar taar kā
'saudā' sharāb-e-ishq na kahte the ham, na pī
paayā mazā na tū ne ab us ke ḳhumār kā
Top Urdushayar.com