kab dil shikast-gāñ se kar arz-e-hāl aayā
hai be-sadā vo chīnī jis meñ ki baal aayā
siine se maiñ duā ko laayā jo shab laboñ tak
kahne lagī ijābat kīdhar ḳhayāl aayā
kaunain tak milī thī jis dil kī mujh ko qīmat
qismat ki yak nigah par jā us ko Daal aayā
baḳhshish pe do jahāñ ke aa.ī thī himmat-e-dahr
lekin na yaañ zabāñ tak harf-e-savāl aayā
nāzāñ na ho tū is par gar tujh ko sañg meñ se
gauhar nikālne kā kasb o kamāl aayā
arbāb-e-fahm aage vo sāhab-e-hunar hai
kiina kisī ke dil se jis ko nikāl aayā
dair-e-ḳharāb meñ kal ik mast kī zabāñ par
ye sher us jagah ke kyā hasb-e-hāl aayā
a.amāl dekh tere mai sharm se araq hai
ai mohtasib tujhe bhī kuchh infi.āl aayā
milne kā ek dam bhī yaañ zo.af-e-dil hai maan.e
uktā ke uTh gayā vo tab maiñ bahāl aayā
naḳhl-e-hayāt apnā gulshan meñ bāġhbāñ ne
boyā to thā havas kar lekin na paal aayā
iksīr hai to kyā hai vo musht-e-ḳhāk 'saudā'
ḳhātir pe jab kisī kī jis se malāl aayā