bulbul ne jise jā ke gulistān meñ dekhā
ham ne use har ḳhār-e-bayābān meñ dekhā
raushan hai vo har ek sitāre meñ zuleḳhā
jis nuur ko tū ne sar-e-kan.ān meñ dekhā
barham kare jam.iyyat-e-kaunain jo pal meñ
laTkā vo tirī zulf-e-pareshān meñ dekhā
vaa.iz tū sune bole hai jis roz kī bāteñ
us roz ko ham ne shab-e-hijrān meñ dekhā
ai zaḳhm-e-jigar sūda-e-almās se ḳhū kar
kitnā vo mazā thā jo namak-dān meñ dekhā
'saudā' jo tirā haal hai itnā to nahīñ vo
kyā jāniye tū ne use kis aan meñ dekhā